What is Computer in Hindi (Computer ki Puri Jankari)

Last Updated: September 22, 2024 by admin

Kaise ho dosto! Agar aap, What is Computer in Hindi? Ya phir simply computer kya hai ya phir computer ki puri detail ke bare mein janna chahte hain. To aap bilkul sahi jagah par aaye ho Kyunki is article mein mai aap ko bataunga Aur iski puri detail Hindi mein btaunga.

तो दोस्तो अगर आप कंप्यूटर क्या है के बारे में पूरी जानकारी लेना चाहते हो. तो में आपको गारंटी देता हूं के आपको ये article Puri help करेगा. दोस्तो अजका युग कंप्यूटर वाला चल रहा है. और अगर आपको इसके बारे में पता नहीं है तो शायद आप उन गिने चुने लोगों में से हो जिनको इसके बारे में पता नहीं है.

में आपको ये नहीं केह रहा हूं के आप अभी अजकी दुनिया में नहीं जी रहे हो. बस ये केह रहा हूं के आपको इसके बारे में जानना बोहत ही ज़रूरी है. वैसे भी भारत में अब तो digital India है. और बिना ये कंप्यूटर के पूरा नहीं हो सकता. चलिए अब इसके बारे में जान लेते हैं के आखिर एक कंप्यूटर होता क्या है?

What is computer
What is computer in Hindi?

Computer kya hai? What is a computer in Hindi?

Jaisa ke hum sab jante hain ki kisi bhi field main computer ki bohat zaroorat hoti hai. Aur aise bhi bohat sare log hote hain jinhe computer ki knowledge nahi hai. Lekin woh computer ki knowledge Janna chahte hain.

Isi liye Dosto mai, especially aap ke liye computer ke upar ek poora article likh raha hun. Jis mein main aapko bataunga ki what is computer network in Hindi yani computer kya hota hai aur is ki puri Jankari bhi dunga.

Toh dosto agar aap computer ke baare mein Jaana chahte hain wo bhi detail mein. Toh Jyada time nahi waste karte hain seedha article shuru karte hain.

कंप्यूटर क्या है – कंप्यूटर किसे कहते हैं

Dosto computer ek English word “compute” se bana hua hai. Jiska matlab hota hai calculation karna yani ke ganit. Pehle pehle jab computer aaya tha to uss time sirf usse ganit solve karte the.

Lekin aaj kal computer mein ganit ke saath saath kayi aur bhi features available hain. Jaise ki aap computer main internet Chala sakte hain, program likh sakte hain, game khel sakte hain, movies dekh sakte hain, gane sun sakte hain aur har ek cheez kar sakte hai jo hum mobile mai nahi kar sakte.

Computer ko “Charles Babbage” ne 1837 mein invent kiya tha. Charles Babbage ne sabse pehle mechanical computer banaya tha jo powerful bhi tha jisko hum aaj analytical engine kehte hain. Is computer mein punch card ki jarurat hoti thi data ko insert karne ke liye. और आज के जमाने में ऐसा कोई भी काम नहीं होगा जो हम बिना कंप्यूटर के कर सकते हैं.

Computer ki History | Evolution of Computer  

Chaliye ab mein apko computer ki thodi si history btane ja rha hun lekin hamare paas computer ki ek exact history to nahi hai. Lekin hum itna bata sakte hain ke computer kaise Wajood mein aaya aur kaise discover hua, uske sath sath what is mini computer in Hindi? To chaliye Dosto one by one, hum history of generation of Computer ke baare mein jaan Lete Hain.

First Generation of Computer (Vacuum Tubes: 1940–1956)

Sabse Pehle wala Jo computer tha wo vacuum tube ke sath sath circuitry ki madad se chalta tha. Is computer mein Magnetic Drum hote the jo ke as a memory ke liye kaam karte the. Isi wajah se is computer ka size kafi bada hota tha.

Bada size means jese ke ek badi machine hoti hai wesa hota tha. Kafi bada size hone ki wajah se is computer ko chalane ke liye bohat Bijli bhi chahiye hoti thi.

Iske sath sath is computer mein heat ki bohat problem hoti thi. Yani ke ye computer bahut jaldi Garam ho jata tha. Is computer mein machine language ka istemal hota tha.

UNIVAC aur ENIAC computers iske common examples hain.

History of computer

Second Generation of Computer (Transistors: 1956–1963)

Second wala jo computer tha wo Transistor ki madad se chalta tha. Aur is computer mein vacuum tube ka use nahi hota tha. Transistor ka use bhi is liye kiya jata tha ta ke ye size mein chote hote the.

Aur inki efficiency bhi kafi acchi hoti thi aur wo kaam bhi fastly karte the. Is computer mein machine language Ka istemal nahi balke High Level Programming Language ka use Hota tha.

Third Generation of Computer (Integrated Circuits: 1964–1971)

अब मैं आपको कंप्यूटर की थर्ड जनरेशन के बारे में बताने जा रहा हूं. Third-wale computer mein transistor ki jagah IC yani Integrated circuit ne leli. Halanki is computer mein transistor ka bhi use hota tha. Lekin wo transistor ek silicon chip ke andar hote the jinhe hum semiconductor ke naam se jante hain.

Aisa karne ka ye fayda hua ki computer ki processing Jo thi wo bahut fast hone lagi jo ki ek acchi baat thi. Is computer ki efficiency bhi bohat high thi aur is computer mein keyboard ke sath sath operating system ka bhi use huwa.

Fourth Generation of Computer (Microprocessors: 1971–present)

Fourth wale computer mein IC yani Integrated Circuit ki jagah Microprocessor ne leli. Halanki is computer mein transistor ke sath sath IC ka bhi use hota tha. Lekin wo transistor aur IC ek silicon chip ke hi andar hote the.

Aisa karne ka ye bohat bada fayda hua ki computer ki late processing Jo thi. Wo bahut hi fast hone lagi aur kam time mein zyada kam bhi krne lage.

Is computer ki efficiency bhi bohat high thi aur is computer mein keyboard ke sath sath operating system ka bhi use huwa.

Fifth Generation of Computer (Artificial Intelligence: present)

5th generation ke computer mein artificial intelligence ka bolbala raha hai. Is computer ki madad se aap Sare kaam automated kar sakte hain. Agar aap fan band karna chahte hain. Toh uski madad se aap agar kamre se bahir nikloge to wo fan band ho jayega automatically.  

Major Components of Computer

Agar mein Major Components of Computer ki Baat Karoon. Toh Ek digital computer main 4 hi main components hote Hain.

1) Input: Input ka simple matlab hota hai ki agar aap Koi Bhi key press Karte Ho. Yani ki koi bhi information computer ko dete ho to use input kehte hain. Jaise Ki Mouse ho gaya ya phir keyboard Ho Gaya wagera wagera.  

2) Processor:  Processor ka matlab hota Hai Ki Jaise hi aap Koi Bhi key press Karte Ho. To wo computer usKo pehchanta Hai yani ke processing Karta Hai. Isi cheez Ko Hum processing kehte hain aur uska example hai CPU yani ke Central Processing Unit.  

3) Output:  Output ka simple matlab hota hai ke apko jo data chahiye tha Woh data Dikhana iski example ho gayi screen.  

4) Memory Storage: Memory storage ka matlab hota hai ki aap ke poore data ko store Karke Rakhna. Ab memory Ki bhi do types hoti hai yani ki Rom or Ram.

Uses or Applications of Computer

Aise to computer ke bahut sare uses hain lekin main aapko aam aam uses ke baare mein Batane ja raha hoon.

  • Computer ka use School Mein, Hota Hai
  • Computer ka use hospital mein bhi Hota Hai
  • Computer ka use defense field mein bhi Hota Hai
  • Computer ka use choti ya Phir Badi dono tarah ki company mein bhi Hota Hai
  • Computer ka use bank mein bhi Hota Hai
  • Computer ka use entertainment field main bhi Hota Hai  

FAQs

Q. What is the maximum length allowed for primary name of a computer file under dos?

Ans. 8 characters.

Final Words

Toh Dosto aaj k is article mein maine aapko bataya What is Computer in Hindi aur simply Computer kya hai ya phir Computer ki puri Detail. Main umeed karta hun ki aapko What is Computer in Hindi ke bare mein puri jankari bahut hi acchi lagi Hogi.

Agar Apke Pas koi bhi doubt hai toh niche comment kark aap apna wo doubt puch skte Hain aur agar aap ye chahte ho ki ye Jankari dusron tak bhi pahunche to is article ko aap zyada se zyada share bhi kar sakte ho.
Thanks.

2 thoughts on “What is Computer in Hindi (Computer ki Puri Jankari)”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top